Thursday, April 06, 2006

ye alag baat hai saaqi ki mujhe hosh nahin :: Unknown ::

ye alag baat hai saaqi ki mujhe hosh nahin
hosh itanaa hai ki main tujh se faraamosh nahin


main teri mast nigaahon kaa bharam rakh luungaa
hosh aayaa bhi to kah duungaa mujhe hosh nahin


yaad itanaa hai ki pahunchaa dar-e-maiKhaane tak
kyaa kahuun aage ki aage kaa mujhe hosh nahin


kabhi un mad_bhari aankhon se piyaa thaa ik jaam
aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin

No comments: