Friday, April 30, 2021

Koi bimaar hum sa nahin

Koi bimaar hum sa nahin,

Koi ilaaz tum sa nahin

Wednesday, April 28, 2021

Surat nahin

Surat nahin,

Saadgi dekh ke pighalo

Na chhedo humein, hum sataye hue hai

Na chhedo humein, hum sataye hue hai,

Bahaut zakhm dil pe khaye hue hai

Kaise karu saabit tum yaad bahaut aate ho

Kaise karu saabit tum yaad bahaut aate ho,

Ehsas tum samajhte nahin aur adaein humein aati nahi

Toot ke bikhar jate hai woh log mitti ki diwari ki tarah

Toot ke bikhar jate hai woh log mitti ki diwari ki tarah,

Jo khud se bhi zyada kisi aur se mohabbat kiya karte hai

Mujhe dar nahi hai ab kuch khone ka kyun ki

Mujhe dar nahi hai ab kuch khone ka kyun ki,

Main ne apni zindagi mein zindagi ko khoya hai

Agar tum kaho to main khud ko bhoola doon

 Agar tum kaho to main khud ko bhoola doon,

Tumhein bhool jane ki takat nahi hai

Jab meri itni mohabbat tumhein mera na kar saki

 Jab meri itni mohabbat tumhein mera na kar saki,

Tum kisi aur ki mohabbat ki kya kadar karoge

Tum jaante ho mere dil ki baat

Tum jaante ho mere dil ki baat,

Khair chhodo jaan te to mere hote

Tuesday, April 27, 2021

Rab kisi ko kisi par fida na kare

Rab kisi ko kisi par fida na kare,

Kare to kayamat tak juda na kare,

Ye mana ki koi marta nahin judai mein,

Lekin jee nahi pata tanhai mein

Waqt Aane Do

Waqt aane do

Milne ke liye kya

Dekhne ke liye bhi taras jaoge

Haalaton ne chhin li

Haalaton ne chhin li hai chehre ki muskaan,

Varna jahan baithte the raunak laga diya karte the

Dard Sehte Sehte

Dard sehte sehte

Insaan sirf hasna nahin

Rona bhi chhod deta hai

Woh apni marzi se baat karte hai

Woh apni marzi se baat karte hai,

Aur hum pagal uski marzi ka intezaar karte hai

Izhar se nahi Intezaar se

Izhar se nahi Intezaar se pata chalta hai,

Mohabbat kitni gehri hai

Monday, April 26, 2021

Jise paa nahin sakte

 Jise paa nahin sakte zaroori nahin ki,

us se  pyaar karna bhi chhod diya jaye

Tumhare baad kisi aur ko hum chahenge hi nahin

Tumhare baad kisi aur ko hum chahenge hi nahin

Zara si zindagi hai kis-kis ko aazmaate phire!

Humne tumhe us din se aur bhi zyada chaha hai

Humne tumhe us din se aur bhi zyada chaha hai

Jabse humein maloom hua hai, ki tum hamare hona nahin chahte

Kya khabar thi

Kya khabar thi ki un se mohabbat ho jayegi,

Humein to bas uska muskurana accha lagta tha

Mujhe manao mat

Mujhe manao mat, Meri baat ko samjho,

Main naraaz nahin , pareshaan in dino!

Kayi dino baad aaj mera dil

Kayi dino baad aaj mera dil, ye soch ke ro diya...

Ki aisa kya pana tha mujhe, jo maine khud ko hi kho diya..

Dono hi majboor the

Dono hi majboor the apne apne dayare mein,

Ek ishq na kar saka aur ek bhoola na saka

Zindagi mein aksar aisa hota hai

Zindagi mein aksar aisa hota hai,

Hum jinke saath ke liye tarsate hai,

Woh kisi aur ko khush karne mein vyast hote hai

Bas isi liye hum kuch nahin kehte tum se

Bas isi liye hum kuch nahin kehte tum se,

Tum samjhoge nahin aur hum ro denge

Akele bhaith kar rona bhi maut se kam nahin

Akele bhaith kar rona bhi maut se kam nahin,

Jahan par sawaal bhi apne hote hai aur jawaab bhi apne hote hai!

Meri fitrat mein nahin apna gam bayan karna

Meri fitrat mein nahin apna gam bayan karna,

Agar tere wajood ka hissa hoon to mehsoos kar taqleef meri 

Waise to aur koi buri aadat nahin humein

Waise to aur koi buri aadat nahin humein,

Bas aap ko yaad karne ki thodi lat lag gayi hai

Raat gehri thi magar hum soye nahin

Raat gehri thi magar hum soye nahin, 

Dard bhi bahaut tha dil mein, magar hum roye nahin, 

Koi nahi hamara jo pooche humse, 

Jaag rahe ko kis liye, aur kis liye soye nahin

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar, 

Chand ghadiyan yahi hai jo azaad hai

Manzil mil hi jayegi

Manzil mil hi jayegi, bhatakte hue hi sahi

Gumrah to woh hai jo, ghar se nikle hi nahi

Sunday, April 25, 2021

Patthar nahi hoon main

Patthar nahi hoon main, mujh mein bhi nami hai,

Dard bayan nahi karta, bas itni si kami hai

Sab kar lena, lamhe zaya mat karna

Sab kar lena, lamhe zaya mat karna, 

Galat jagah par jazbe zaya mat karna, 

Ishq to neeyat ki sachhai dekhta hai, 

Dil na jhuke to sajde zaya mat karna

Tum ne to bas diya jalana hota hai

Tum ne to bas diya jalana hota hai, 

Hum ne kitni door se aana hota hai, 

Aansu aur dua mein koi farak nahin, 

Ro dena bhi haath uthana hota hai

Loot lete hai apne hi

Loot lete hai apne hi,
 
Warna gaeron ko kya pata, 

Is Dil ki deewar, 

Kamzor kahan se hai

Log kahte hai

Log kahte hai raat mein, os girti hai,

Hum ne to phoolo ko, akele mein rote dekha hai

Zindagi se badi saza hi nahin

Zindagi se badi saza hi nahin, 
Aur kya jurm hai pata hi nahin

Itne hisson mein bant gaya hoon main, 
Mere hisse mein kuch bacha hi nahin

Nahi rahi shikayat ab

Nahi rahi shikayat ab mujhe teri nazar-andazgi se,

Tu bakiyon ko khush rakh, hum tanha hi achhe hai

Thoda sabr rakh

Thoda sabr rakh, abhi imthehaan zaari hai,

Waqt khud kahega chal ab teri baari hai

Jise paa nahin sakte

Jise paa nahin sakte zaroori nahin ki,

us se pyaar karna bhi chhod diya jaye..

Kaise guzar rahi hai, sab poochte hai

Kaise guzar rahi hai, sab poochte hai,

Kaise guzaar raha hoon, koi nahin poochta

Intezaar hai mujhe zindagi ke aakhri panne ka

Intezaar hai mujhe zindagi ke aakhri panne ka,

Suna hai aakhir mein sab thik ho jata hai

Is duniya mein woh hi insaan sab se zyada majboot hai

Is duniya mein woh hi insaan sab se zyada majboot hai,
jiska dil bhi toota, khwab bhi toote, sapne bhi toote, apne bhi ruthe hai,
Phir bhi kahe, mein thik hoon!!

Saturday, April 24, 2021

Shak to tha Mohabbat mein nuksaan hoga

Shak to tha Mohabbat mein nuksaan hoga, 

Par sara mera hi hoga ye maloom na tha

Kuch bhi na badlega yahan mere bin

Kuch bhi na badlega yahan mere bin, 

Do-char log royenge, do-char din.

Haathon ki lakeeron pe mat ja Galib

Haathon ki lakeeron pe mat ja Galib, 

Taqdeer to unki bhi hoti hai jinke haath nahi hote

Jo batein nahi samajh te,

Jo batein nahi samajh te, 

Woh khamoshi kya khaak samkhenge

Yehi to hai meri mushkil

Yehi to hai meri mushkil, bahaut nazook hai mera dil, 

Tere seene mein patthar  hai, tujhe kis baat ka dar hai.

Khabar sab ko thi mere kacche makaan ki

Khabar sab ko thi mere kacche makaan ki, 

Phir bhi duaano mein sab ne barish maangi

Ye main hi tha, bacha ke khud ko le aaya kinaare tak

Ye main hi tha, bacha ke khud ko le aaya kinaare tak, 

Samandar ne bahaut mauka diya tha doob Jane ka.

Naa jana un galiyon mein phir se E galib

 Naa jana un galiyon mein phir se E galib, 

Kyun ki wahan tumhare ishq ka janaza tumhari wafaon ne uthaya tha

Main gaya tha soch ke batein bachpan ki hongi

Main gaya tha soch ke batein bachpan ki hongi, 

Dost mujhe apni tarraki sunane lage.

Insaan ki fitrat ko samjhtey hai parinde

Insaan ki fitrat ko samjhtey hai parinde,

Jitni bhi mohabbat se bulao, paas nahi aate