Monday, July 31, 2006

fir aake chale jaana ik baar chale aao

fir aake chale jaana, ik baar chale aao
surat to dikha jaao, ik baar chale aao

tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao

jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana
kis baat pe roothe ho itna to bata jaao

kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
ab jaan pe ban aayi lillah chale aao

Thursday, July 27, 2006

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN

tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho
jalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

bhoole se mushkuraaO to moti baras paDe
palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe
khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

Wednesday, July 19, 2006

ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab

ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab
kya karoon taarif, teri har adaa hai laajawab

kyoon na ye dil tumko chaahe, husn se bhi tum ho haseen
paaOn padte hain jahan pe, phool khil jaate hain wahin
jaan le lega hamaari ik na ik din ye sabaab
ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab

ruk gaye saawan ke baadal, zulf jab chehre pe paDi ho
dekh le jo unko shaayad, bhool jaaye wo shaayari
sang-e-marmar ka badan hai, ya kisi shaayar ka khwaab

Wednesday, July 12, 2006

muJhe tum nazar se gira to rahe ho

muJhe tum nazar se gira to rahe ho
muJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
mere pyaar ko tum mitaa na sakoge

meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
tadapta muJhe har taraf paaoge tum
shama jo jalaayi hai meri wafa ne
bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge

kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera
to bechain ho hoke dil thaam loge
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigahon mein chaayega gham ka andhera
kisi ne jo poocha sabab-a-subooN ka
bataana bhi chaaho bata na sakoge

Thursday, July 06, 2006

ab ke hum bichDe to shaayad kabhi khwaaboN meiN mile

ab ke hum bichDe to shaayad kabhi khwaaboN meiN mile
jis tarah sookhe huye phool kitaaboN meiN mile

dhoonD uJde huye logon meiN wafa ke moti
ye khazane tuJhe mumkin hai kharaboN meiN mile

tu khuda hai na mera ishq faristoN jaisa
dono insaaN haiN to inum itne hijaaboN mein mile

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar meiN shaamil kar lo
nasha behta hai sharaaboN meiN to sharaboN meiN mile

ab laboN meiN hooN na tu hai na wo maaji hai faraaq
jaise do saaye tamaana ke saraabOn meiN mile

Tuesday, July 04, 2006

rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye

rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye
pehle jaaN fir jaane jaaN fir jaane jaana ho gaye

din badin badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN
phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye

aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye
pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye

pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye
aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye

Husn Ko Chaand

husn ko chaaNd, jawani ko kaNval kehte haiN
unkee soorat nazar aaye to GHazal kehte haiN

uff! woh marmar se taraasha hua shafaaf badan
dekhne wale use taaj mahal kehte haiN

paD gayee paaoN meiN taqdeer kee zanjeer to kya
ham to usko bhee teri zulf ka baal kehte haiN

mujhko maaloom nahee iske siva kuch bhee katee
jo sadee vasl meiN guzre use pal kehte haiN