Monday, August 25, 2008

Thoda sa hamein pee lene do

Thoda sa hamein pee lene do,
Gam-e-zindagi bhula dene do,
Kya pata kal ki sham aye ya na aye,
Nashe me hi kuchh pal jee lene do.

Zindagi Ke Liye Hee Waqt Nahin

Har Khushi Hai Logon Ke Daaman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahin.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahin.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahin.

Paison Ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Tu Hee Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahin.

Koi Umeed Zindagi Se Ab Nahi Rahi

Koi Umeed Zindagi Se Ab Nahi Rahi
Koi Khushi Hume Nazar Ab Nahi Aati

Maut Toh Hai Aani Ek Roz
Par Raaton Ko Neend Ab Nahi Aati

Choti Choti Baton Main Dhund Lete Khushi
Aaj Kisi Bhi Baat Par Hassi Nahi Aati

Zindagi Hume Ek Aise Mod Pe Hai Laiyi
Khud Ki Khabaar Ab Khud Taak Nahi Aati

Marte Hai Har Pal Jee Kar Aaj Hum
Maut Hai Ki Bulane Par Bhi Nahi Aati

Nazar badal ke dekho, nazaare badal jaayenge

Nazar badal ke dekho, nazaare badal jaayenge,
Soch badal ke dekho, sitare badal jaayenge,
Kashtiyan badalne ki kya zaroorat,
Dishayein badal ke dekho, Kinare badal jaayenge.

Bhule Hai Rafta Rafta Unhe Muddaton Mein Hum....

Bhule Hai Rafta Rafta Unhe Muddaton Mein Hum....
Kishton Me Khudkushi Ka Maza Hum Se Poochiye...

tujhe DEKHA na tha to teri ARZO na thee

tujhe DEKHA na tha to teri ARZO na thee,
jab se dekha TUJHE tere TALABGAAR ban gaye HUM

Jaane kya Mujhse zamana chahta hai

Jaane kya Mujhse zamana chahta hai ,
Mera dil tod kar mujhe hasana chahta hai ,

Jaane kya baat jhalakti he mere chehre se,
Har shaks mujhe aazmana chahta hai.

Jab kabhi tera dil ghabray, tu lot ana

Jab kabhi tera dil ghabray, tu lot ana,
Agar kabhi mer yaad satay, tu lot aana,
Aaj mujhe thukra dia aae dost zamana thukra de, tu lot aana.

Aapko miss karna roz ki bat ho gai

Aapko miss karna roz ki bat ho gai,
yaad karna aadat ki bat ho gai,
apase dur rahena kismat ki bat ho gai,
magar aapko bhulna
apane bas ke bahar ki baat ho gai!

Wo so jata hai aksar hamain yaad kiye baghair

Wo so jata hai aksar hamain yaad kiye baghair,
Humain nind he nahi ati unse bat kya bgair,
Kasor un ka nahi kasoor to hamara ha,
Unhain chaha be to unki ijaazat liya bgair

Badi mushkil mein hoon

Badi mushkil mein hoon,
main kaise izhaar karu,
tu to khushbu hai,
tujhe kaise giraftar karu.

Sans Tak Bhi Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt

Sans Tak Bhi Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt
Hum Ne Iss Kaam Ko Bhi Kal Per Utha Rakha Hai
Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho
Yahi Soch K Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai

Umeed ki Kashti ko Dooboya nahi karte

Umeed ki Kashti ko Dooboya nahi karte
Sahil agar Door ho to Roya nahi karte
Rakhte hai jo Dil mei Tadap kisi ki
Woh Log to Raaton ko Soya bhi nahi karte

dil ka dard chupana kitna muskil hai

dil ka dard chupana kitna muskil hai
toot kar phir muskurana kitna muskil hai
door tak jab chalo kisi ke sath to phir
tanha lot ke ana kitna muskil hai

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
Khali hi sahi hathon mein jam to aaya
Mein hoon bewafa sabko bataya usne
Yun hi sahi, uske labhon pe mera naam to aaya.

na tasveer hai tumhari jo "deedar" kiya jaye....

na tasveer hai tumhari jo "deedar" kiya jaye....
na tum ho pass jo "pyaar" kiya jaye ...
ye kaisa "dard" diya tumnay .....
na kuch kaha jaye na tum bin raha jaye !!!!!!!!

Ankhon pe aansu ki lakeer ban gayi

Ankhon pe aansu ki lakeer ban gayi
kabhi na socha aisi takdir ban gayi
hanne to fehrayee thi ret per ungliyan
gaur se dekha to teri tasveer ban gayi.

bhool kr zaat tum ko yad kiya

bhool kr zaat tum ko yad kiya,
baat bay baat tum ko yad kiya,
neend naraz hogayi hum se,
hum ne jis raat tum ko yad kiya

Pathar ki hai duniya jazbaat nahi smjti

Pathar ki hai duniya jazbaat nahi smjti
Dil me kya hai baat, woh baat nahi smjti
Tanha to chand bhi hai sitaro k beech magar
Chand ka dard yeh raat nahi samjti.

bhoole hain wo kuch is tarahan se hame

bhoole hain wo kuch is tarahan se hame.
Ab intezar karna hamara naseeb ho gaya hey,
Na jane koi khata ho gai humse,
Ya koi aur un k qareeb hogaya hey......

Ajeeb lagti hai sham kabhi kabhi

Ajeeb lagti hai sham kabhi kabhi
Zindagi lagti hai bejaan kabhi kabhi
Samjh Aaye tou humen bhi batana
Ke kyun karti hain yaden pareshan kabhi kabhi.