Friday, April 07, 2006

is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai :: Afzal Firdaus ::

is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa ki muhabbat nahin ehasaan kiyaa hai


sochaa thaa ki tum duusaron jaise nahin hoge
tum ne bhi vahi kaam meri jaan kiyaa hai


mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhi tum ne meraa aasaaN kiyaa hai


[tark (karanaa) = to give up; ta'alluq = relationship]


har roz sajaate hain teri hijr mein Gunche
aaNkhon ko teri yaad mein gul_daaN kiyaa hai


[hijr = separation; Gunche = flower buds]
[gul_daan = flower vase]

No comments: