dukh fasaanaa nahin ke tujh se kahein
dil bhi maanaa nahin ke tujh se kahein
aaj tak apani bekali kaa sabab
Khud bhi jaanaa nahin ke tujh se kahein
ek tuu harf_aashnaa thaa magar
ab zamaanaa nahin ke tujh se kahein
be-tarah dil hai aur tujh se
dostaanaa nahin ke tujh se kahein
ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
aab-o-daanaa nahin ke tujh se kahein
No comments:
Post a Comment