Tuesday, April 11, 2006

apane haathon ki lakiron main basaale mujhko :: Qateel Shifai ::

apane haathon ki lakiron main basaale mujhko
main hoon tera, to nasib apana bana le mujhko..


mujhse tu puchane aayaaa hai wafaa ke maani
yeh teri sadaa-dili maar na daale mujhko...


main samandar bhi honn, moti bhi hoon, gotaazan bhi
koi bhi naam meraa,,, leke,,, bula le mujhko ..


tune dekhaa nahin aaine se aage kuchh bhi
khudaparasti main kahin tu na ganvaale mujhko..


kal ki baat aur hai main ab saa rahoon yaa na rahoon
jitanaa ji chaahe teraa,, aaj sataale mujhko..


khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman
kar diyaa tuune agar mere havaale mujhko..


main jo kaantaa hoon to chal mujh se bachaakar daaman
main hoon gar phuul to joode main sajaale mujhko...


main khule dar ke kisi ghar kaa hoon saamaan pyaare
tu dabe paanv kabhi aake churaale mujhko...


tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yaad to kar bhoolane-vaale mujhko...


baadaa phir baadaa hai main zahar bhi pi jaaoon "Qateel"
shart ye hai koi baahon main sambhale mujhko...

No comments: