Monday, May 01, 2006

PARINDE KI FARYAAD

Aata hai yaad mujhko guzraa huwa zamaana
Woh baag ki bahaare woh sab ka chechahana

Azaadiyaa kaha woh ab apne ghosle ki
Apni khushi se aana, Apni khusi se jaana

Lagti hai chot dil par, Aata hai yaad jis dam
Shabnam ke Aasuoon par Kaliyoo ka muskuraana

Woh pyaari pyaari surat, woh kaamini si murat
Aabad jis ke dam se tha mera Aashiyaana

Aati nahi Sadaayee us ki mere kafas mein
Hoti meri rihaahi ay kaash mere bas mein

kya bad-naseeb hoo mein Ghar ko taras raha hoon
Saathi to hai watan mein, mein kaid mein pada hoon

Aayi bahaar, kaliya phoolo ki has rahi hai
mein is andhere ghar mein kismat ko ro raha hoon

Is kaid ka Ilaahi, dukhda kise sunaoo
dar hai yahee kafas mein, mein gam se mar na jaooo

Jab se chaman choota hai yeh haal ho gaya hai
Dil gam ko kha raha hai, Gam dil ko kha raha hai

Gaana ise samajh kar khush ho na sun-newale
Dukhe huwee diloo ki faryaad, yeh sada hai

Azaad mujh ko kar de O kaid karne wale
Mein bezoobaa hoon kaidi, mujhe chod kar dua le !

No comments: