Monday, May 01, 2006

Apne Maazi ke tasaavoor se hiraasa hoon mein :: Faraar ::

Apne Maazi ke tasaavoor se hiraasa hoon mein (hiraasa : pareshaan)

Apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujhe

Apni bekaar tamanaaoo pe sharminda hoon

Apni be-sood umeedoo pe nidaamat hai mujhe (be-sood : useless)



Mere maazi ko andhere mein daba rehne do

Mera maazi meri zilat ke siwa kuch bhi nahi

Meri umeedoo ka hasil meri kaavish ka sila (kaavish : research)

Ek benaam aziyat ke siwa kuch bhi nahi (aziyat : torment)



Kitni bekaar umeedoo ka sahara le kar

Mein-ne aiwaan sajaa-ye the kisi ke khaatir (aiwaan : palace)

Kitni be-rabt tamanaoo ke mabham khaake (be-rabt : unfulfilled)

Apne khwaaboo mein basaa-ye the kisi ke khaatir (mabham : hidden)

(khaake : sketches)

Mujh se ab meri mohabbat ke fasaane na kaho

Mujh ko kehne do ke mein-ne Unhe chaaha hi nahi

Aur woh mast nigaahe jo mujhe bhool gayi

Mein-ne Un mast nigaahoo ko saraaha hi nahi (saraaha : approve)



Mujh ko kehne do ke mein aaj bhi jee sakta hoon

Ishk nakaam sahi, zindagi nakaam nahi

Un ko apna-ne ki khawaaish, Unhe paane ki talb

Shauk bekaar sahi, sa'i-gam anjaam nahi (sai-gam : to be sad)



Wahi ghesoo wahi nazar wahi aaridh wahi jism (aaridh : cheeks)

Mein jo chahoo ke mujhe aur bhi mil sakte hai

Woh kawal jin ko kabhi un ke liye khilna tha (kawal : lotus)

Un ki nazrooo se bahut door bhi khil sakte hai

No comments: