Monday, August 25, 2008

Zindagi Ke Liye Hee Waqt Nahin

Har Khushi Hai Logon Ke Daaman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahin.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahin.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahin.

Paison Ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Tu Hee Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahin.

3 comments:

Ahmed Z. said...

zindagi ki sachchai har ek lafz mein hai.

SaurabhS said...

Like it :)

Nishu said...

very nice..n soo true,,