Wednesday, January 18, 2006

Tu

Jab kalam liya haath mein...
Ghazal bann gaya tu,


Jab bhi nazar uthaayi...
Nazaara ban gaya tu!


Jab bhi kuch kehna chaha...
Ishaara bann gaya tu,


Doob rahi thi jab jazbaat ke samandar mein...
Saahil bann gaya tu!


Kehne ko tha bahut kuch
Parr kuch naa keh saki main,
Bina kuch kahe...
Bahut kuch keh gaya tu!


Haathon mein tha haath jab,
Doori thi dilon mein,
Aaj doorh hai hum mein magar,
Dil ke bahut kareeb aa gaya hai tu!


Jab bhi saans li maine
Hawa bann gaya tu,


Jab bhi dua mein haath uthaaye
Dua bann gaya tu,


Jab bhi chalak gayi aankhen,
Aansoon ban gaya tu,


Nahin jaan saki main...
Jaane kab meri dhadkan bann gaya tu!


~Akansha~

No comments: