Patthar nahi hoon main, mujh mein bhi nami hai,
Dard bayan nahi karta, bas itni si kami hai
Patthar nahi hoon main, mujh mein bhi nami hai,
Dard bayan nahi karta, bas itni si kami hai
Sab kar lena, lamhe zaya mat karna,
Galat jagah par jazbe zaya mat karna,
Ishq to neeyat ki sachhai dekhta hai,
Dil na jhuke to sajde zaya mat karna
Tum ne to bas diya jalana hota hai,
Hum ne kitni door se aana hota hai,
Aansu aur dua mein koi farak nahin,
Ro dena bhi haath uthana hota hai
Log kahte hai raat mein, os girti hai,
Hum ne to phoolo ko, akele mein rote dekha hai
Thoda sabr rakh, abhi imthehaan zaari hai,
Waqt khud kahega chal ab teri baari hai
Jise paa nahin sakte zaroori nahin ki,
us se pyaar karna bhi chhod diya jaye..
Kaise guzar rahi hai, sab poochte hai,
Kaise guzaar raha hoon, koi nahin poochta
Intezaar hai mujhe zindagi ke aakhri panne ka,
Suna hai aakhir mein sab thik ho jata hai
Shak to tha Mohabbat mein nuksaan hoga,
Par sara mera hi hoga ye maloom na tha
Kuch bhi na badlega yahan mere bin,
Do-char log royenge, do-char din.
Haathon ki lakeeron pe mat ja Galib,
Taqdeer to unki bhi hoti hai jinke haath nahi hote
Jo batein nahi samajh te,
Woh khamoshi kya khaak samkhenge
Yehi to hai meri mushkil, bahaut nazook hai mera dil,
Tere seene mein patthar hai, tujhe kis baat ka dar hai.
Khabar sab ko thi mere kacche makaan ki,
Phir bhi duaano mein sab ne barish maangi
Ye main hi tha, bacha ke khud ko le aaya kinaare tak,
Samandar ne bahaut mauka diya tha doob Jane ka.
Naa jana un galiyon mein phir se E galib,
Kyun ki wahan tumhare ishq ka janaza tumhari wafaon ne uthaya tha
Main gaya tha soch ke batein bachpan ki hongi,
Dost mujhe apni tarraki sunane lage.
Insaan ki fitrat ko samjhtey hai parinde,
Jitni bhi mohabbat se bulao, paas nahi aate