Monday, January 19, 2015

Raaj to hamara har jagaj pe hai

राज तो हमारा हर जगह पे है,
पसंद करने वालों के “दिल” में; और
नापसंद करने वालों के “दिमाग” में।

Raaj to hamara har jagaj pe hai,
Pasand karne walon ke "Dil" mein; aur
Na-pasand karne walon ke "Dimaag" mein.

Unhi raaston ne, jin par kabhi tum the saath mere

उन्ही रास्तो ने, जिन पर कभी तुम थे साथ मेरे,
मुझे रोक रोक पूछा, तेरा हमसफ़र कहा है !!

Unhi raaston ne, jin par kabhi tum the saath mere,
mujhe rok-rok poocha, tera humsafar kahan hai.

Patang si hai zindagi, kahan tak jayegi

पतंग सी हैं जिंदगी, कहाँ तक जाएगी!
रात हो या उम्र, एक ना एक दिन कट ही जाएगी!!

Patang si hai zindagi, kahan tak jayegi!
Raat ho ya Umr, ek na ek din kat hi jayegi!!

Tum agar laut aao to mujhe zara pehle bata dena

तुम अगर लौट आओ तो मुझे ज़रा पहले बता देना.....
मुझे खुद को ढूंढने में कुछ वक़्त लगेगा.....

Tum agar laut aao to mujhe zara pehle bata dena.....
Mujhe khud ko dhoondne mein kuch waqt lagega.....

lagta hai apni uljhane phir se badhne wali hai yaroon

''लगता है अपनी उलझाने फिर से बड़ने वाली है यारों...!!''
''आज फिर से हमें किसी की सादगी अच्छी लगी है..!!''

lagta hai apni uljhane phir se badhne wali hai yaroon!!
Aaj phir se humein kisi ki saadgi achhi lagi hai

Aansu nikal pade khwaab mein usko door jate dekhkar

आंसू निकल पड़े खवाब में उसको दूर जाते देखकर,
आँख खुली तो एहसास हुआ इश्क सोते हुए भी रुलाता है..!!

Aansu nikal pade khwaab mein usko door jate dekhkar,
Aankh khuli to ehsaas hua ishq sote hue bhi rulata hai

Wednesday, January 14, 2015

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Aadat ho gayi hai tere kareeb rehne ki

Aadat ho gayi hai tere kareeb rehne ki

Bataa.. Teri sanso ki khushboo wala ittar kahan milega..

Roz kahan se laau ek naya dil

Roz kahan se laau ek naya dil

Todne walaon ne to mazaak bana rakha hai

Sasta sa bata do ilaaz koi ishq ka

Sasta sa bata do ilaaz koi ishq ka

Ek gareeb pyar kar baitha hai!

Muskurahat ke kuch lamhe kisi udaas chehre par saja do

Muskurahat ke kuch lamhe kisi udaas chehre par saja do,
Thodi si khushi apni kisi rote hue ko baant do,
Jeene ka haq is jahan mein sabko naseeb ho, warna
.
.
Hum hi hum hain to kya hum hain, Tum hi tum ho to kya tum ho!

Koshish Karne walo ki kabhi haar nahi hoti

A FAMOUS POETRY BY HARIVANSH RAI BACHCHAN


Koshish Karne walo ki kabhi haar nahi hoti
Lahro se dar kar noka par nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti

Nanhi chiti jab dana lekar chalti hai
Chadti divaro se so bar fisalti hai
Man ka visvas rago me sahas bhar deta hai
Gir kar chadhna chadkar girna isiliye na akhrta hai
Mehnat uski khali har bar nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti

Dubkiyan sindhu me gotakhor lagate hain
Jakar khali hath lot aate hain
Milte na sahaj moti gahre pani me
badhta duguna utsah isi herani me
muthi uski khale har bar nahi hoti
Mehnat karne walo ki kabhi har nahi hoti

Asafalta ek chunoti hai ise swikar karo
kya kami rah gai hai dekho or sudhar karo
jab tak na safal ho nind chain ki tyago tum
sangharso ka maidan chod mat bhago tum
kutch kiye bina hi jay jaykar nahi hoti
mehnat karne walo ke kabhi har nahi hoti.

Kuch Log Jo Zyada Jante Hai

Kuch Log Jo Zyada Jante Hai, Insaan Ko Kam Pehchante Hai
Ye Purab Hai, Purabvaale, Har Jaan Ki Kimat Jante Hai

Mil Jul Ke Raho Aur Pyar Karo, Ek Cheez Yahi Jo Rehati Hai
Hum Us Desh Ke Vasi Hai, Jis Desh Me Ganga Behati Hai

Kabra ki mitti bhi ud kar teri gali ki taraf jati hai

Kabra ki mitti bhi ud kar teri gali ki taraf jati hai

Jism ko maut aayi, par khwayishein abhi bhi jinda hai

Tuesday, December 16, 2014

Main Jaanta hoon ki baadshah ban ne jaisi mujh mein koi baat nahin

Main Jaanta hoon ki baadshah ban ne jaisi mujh mein koi baat nahin

Magar jise bhi aankh bhar kar dekh lete hain use uljhan mein daal dete hain

Aukaat kya hai teri, E-zindagi

Aukaat kya hai teri, E-zindagi

Char din ki Mohabbat tujhe tabaah kar deti hai

Friday, December 12, 2014

Agar parchhayian kadH se aur baatein aukaat se badi hone lage

Agar parchhayian kadH se aur baatein aukaat se badi hone lage,

To samajh lo ki suraj doobne wala hai.

Kuch logon ka dil jeet liya aakar iss barsaat ne

Kuch logon ka dil jeet liya aakar iss barsaat ne,

Aur kuch iss soch mein doobe hain ki aaj woh soyenge kahan!

Teri talaash mein nikloon bhi to kya fayada?

Teri talaash mein nikloon bhi to kya fayada?

Tum badal gaye ho.. kho gaye hote to aur baat thi!

Badi ajeeb si hai shehron ki roshni

Badi ajeeb si hai shehron ki roshni,

Ujaalon ke baawjood "chehre" pehchaan-na mushkil hai

Teri pehchaan bhi kho na jaye kahin

Teri pehchaan bhi kho na jaye kahin,

Itne chehre na badal thodi si shohrat ke liye..

Woh! dushman ban kar mujhe jeetne nikali thi

Woh! dushman ban kar mujhe jeetne nikali thi,

Dost ban ke milti to main yoon hi har jata..

Sharaab kaisi, khumaar kaisa

Sharaab kaisi, khumaar kaisa,
Ye sab tumhari, Navaazishen hey,
Pilaayi hay, Kis nazar se tunne,
Ke mujhko apni, Khabar nahi hai..!

Tere pyaar ne, Teri chah ne,
Teri ...Bahki bahki nigaah ne,
Mujhe.... Ek sharabi bana diya,
Ke sharaab peena, Sikha diyaa..

Rehne de mujhe in andheron mein

Rehne de mujhe in andheron mein,

Kambhakt, roshni mein apno ke asli chehre samne aa jate hai!

Naa jane kya masumiyat hai tere chehre par

Naa jane kya masumiyat hai tere chehre par,

Tere samne aane se zyada tujhe chupkar dekhna achha lagta hai!

Agar de tu humko apne husn ki tareef ka ek mauka

Agar de tu humko apne husn ki tareef ka ek mauka, kasam se..

Poori mehfil ko tera deewana na kar doon to lanat hai meri shayari par!

Shauhrat to janaaze ke din pata chalegi

Shauhrat to janaaze ke din pata chalegi,

Daulat to koi bhi kama leta hai!

Dikhawa mat kar shehar me "Shareef" hone ka

Dikhawa mat kar shehar me "Shareef" hone ka,

Log "Khamosh" to hai, par na-samajh nahin!!

Gulaam hoon apne ghar ke sanskaraon ka.. warna

Gulaam hoon apne ghar ke sanskaraon ka.. warna,

Logon ko unki aukaat dikhane ka hunar aaj bhi rakhta hoon!

Har koi poocHta hai, karte kya ho tum?

Har koi poocHta hai, karte kya ho tum?

Jaise Mohabbat koi kaam hi nahin.

Hum Khuda ke to kabhi kayal na the

Hum Khuda ke to kabhi kayal na the,

Tumko dekha to Khuda yaad aaya.!!!!

Jaam jab peeta hoon muh se kehta hoon Bismillah

Jaam jab peeta hoon muh se kehta hoon Bismillah,

Kaun kehta hai ke rindon ko khuda yaad nahin ???

Ab usay roz na sochu toh badan toot-ta hai

Ab usay roz na sochu toh badan toot-ta hai,

Ek umar ho gai hai uski yaad ka nasha karte karte.!!!

Maut Par Bhi Hai Yaqeen

Maut Par Bhi Hai Yaqeen, Unn Par Bhi Aitbaar Hai,

Daikhtey Hain Pehley Kon Aata Hai, Dono Ka Intezar Hai.!!!

Mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabi

Mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabi,

Jis phool ko dekhun wohi paimaanaa huaa hai..!!!

Masroofiyat Mein Aati Hai Behad Tumhari Yaad

Masroofiyat Mein Aati Hai Behad Tumhari Yaad,

Fursat Mein Teri Yaad Se Fursat Nahi Milti...!!!

Monday, August 25, 2008

Thoda sa hamein pee lene do

Thoda sa hamein pee lene do,
Gam-e-zindagi bhula dene do,
Kya pata kal ki sham aye ya na aye,
Nashe me hi kuchh pal jee lene do.

Zindagi Ke Liye Hee Waqt Nahin

Har Khushi Hai Logon Ke Daaman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahin.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahin.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahin.

Paison Ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hee Waqt Nahin.

Tu Hee Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahin.

Koi Umeed Zindagi Se Ab Nahi Rahi

Koi Umeed Zindagi Se Ab Nahi Rahi
Koi Khushi Hume Nazar Ab Nahi Aati

Maut Toh Hai Aani Ek Roz
Par Raaton Ko Neend Ab Nahi Aati

Choti Choti Baton Main Dhund Lete Khushi
Aaj Kisi Bhi Baat Par Hassi Nahi Aati

Zindagi Hume Ek Aise Mod Pe Hai Laiyi
Khud Ki Khabaar Ab Khud Taak Nahi Aati

Marte Hai Har Pal Jee Kar Aaj Hum
Maut Hai Ki Bulane Par Bhi Nahi Aati

Nazar badal ke dekho, nazaare badal jaayenge

Nazar badal ke dekho, nazaare badal jaayenge,
Soch badal ke dekho, sitare badal jaayenge,
Kashtiyan badalne ki kya zaroorat,
Dishayein badal ke dekho, Kinare badal jaayenge.

Bhule Hai Rafta Rafta Unhe Muddaton Mein Hum....

Bhule Hai Rafta Rafta Unhe Muddaton Mein Hum....
Kishton Me Khudkushi Ka Maza Hum Se Poochiye...

tujhe DEKHA na tha to teri ARZO na thee

tujhe DEKHA na tha to teri ARZO na thee,
jab se dekha TUJHE tere TALABGAAR ban gaye HUM

Jaane kya Mujhse zamana chahta hai

Jaane kya Mujhse zamana chahta hai ,
Mera dil tod kar mujhe hasana chahta hai ,

Jaane kya baat jhalakti he mere chehre se,
Har shaks mujhe aazmana chahta hai.

Jab kabhi tera dil ghabray, tu lot ana

Jab kabhi tera dil ghabray, tu lot ana,
Agar kabhi mer yaad satay, tu lot aana,
Aaj mujhe thukra dia aae dost zamana thukra de, tu lot aana.

Aapko miss karna roz ki bat ho gai

Aapko miss karna roz ki bat ho gai,
yaad karna aadat ki bat ho gai,
apase dur rahena kismat ki bat ho gai,
magar aapko bhulna
apane bas ke bahar ki baat ho gai!

Wo so jata hai aksar hamain yaad kiye baghair

Wo so jata hai aksar hamain yaad kiye baghair,
Humain nind he nahi ati unse bat kya bgair,
Kasor un ka nahi kasoor to hamara ha,
Unhain chaha be to unki ijaazat liya bgair

Badi mushkil mein hoon

Badi mushkil mein hoon,
main kaise izhaar karu,
tu to khushbu hai,
tujhe kaise giraftar karu.

Sans Tak Bhi Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt

Sans Tak Bhi Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt
Hum Ne Iss Kaam Ko Bhi Kal Per Utha Rakha Hai
Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho
Yahi Soch K Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai

Umeed ki Kashti ko Dooboya nahi karte

Umeed ki Kashti ko Dooboya nahi karte
Sahil agar Door ho to Roya nahi karte
Rakhte hai jo Dil mei Tadap kisi ki
Woh Log to Raaton ko Soya bhi nahi karte

dil ka dard chupana kitna muskil hai

dil ka dard chupana kitna muskil hai
toot kar phir muskurana kitna muskil hai
door tak jab chalo kisi ke sath to phir
tanha lot ke ana kitna muskil hai

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
Khali hi sahi hathon mein jam to aaya
Mein hoon bewafa sabko bataya usne
Yun hi sahi, uske labhon pe mera naam to aaya.

na tasveer hai tumhari jo "deedar" kiya jaye....

na tasveer hai tumhari jo "deedar" kiya jaye....
na tum ho pass jo "pyaar" kiya jaye ...
ye kaisa "dard" diya tumnay .....
na kuch kaha jaye na tum bin raha jaye !!!!!!!!

Ankhon pe aansu ki lakeer ban gayi

Ankhon pe aansu ki lakeer ban gayi
kabhi na socha aisi takdir ban gayi
hanne to fehrayee thi ret per ungliyan
gaur se dekha to teri tasveer ban gayi.

bhool kr zaat tum ko yad kiya

bhool kr zaat tum ko yad kiya,
baat bay baat tum ko yad kiya,
neend naraz hogayi hum se,
hum ne jis raat tum ko yad kiya

Pathar ki hai duniya jazbaat nahi smjti

Pathar ki hai duniya jazbaat nahi smjti
Dil me kya hai baat, woh baat nahi smjti
Tanha to chand bhi hai sitaro k beech magar
Chand ka dard yeh raat nahi samjti.

bhoole hain wo kuch is tarahan se hame

bhoole hain wo kuch is tarahan se hame.
Ab intezar karna hamara naseeb ho gaya hey,
Na jane koi khata ho gai humse,
Ya koi aur un k qareeb hogaya hey......

Ajeeb lagti hai sham kabhi kabhi

Ajeeb lagti hai sham kabhi kabhi
Zindagi lagti hai bejaan kabhi kabhi
Samjh Aaye tou humen bhi batana
Ke kyun karti hain yaden pareshan kabhi kabhi.

Wednesday, September 20, 2006

Dupatta ::: Rajji

Dupatta laal chunari kaa,
Lipat kar tujh se rehataa hai,
Meri pyaasi nigaaho.n par,
hameshaa hansataa rehataa hai.

Kabhi udataa hawaao.n main,
Simatataa teri baahon main
Kabhi kaandhe pe bekaaboo,
Sirakataa firataa rehataa hai.

Tere kaanon main kehataa kuchh,
Ya seene se lagaa rehataa,
Teri dhakan ko gin gin kar,
Yeh uthataa girataa rehataa hai.

Kabhi teri kamar isski,
Girafton main bandhi rehati,
Kabhi yeh peeth par kaafir,
Khisakataa khinchataa rehataa hai.

Kabhi paunchhe paseene ko,
Kabhi dhakataa hai soorat ko,
Kabhi gaalon ko choota hai,
Kabhi munh lag ke rehataa hai

Kabhi kaaleen ban jaataa,
Kabhi godi mai.n sota hai,
Tere haathon ko sehlaataa,
Satataa mujhko rehataa hai

Isse sar na chadhao tum,
Dupatta hai meraa dushman,
Hamaare darmiyaan har dam,
Kyon yeh besharm rehataa hai.

Tuesday, September 19, 2006

Shayari

Rom rom mei humarei woh basei hein,
Nazarei humari aur chehra unka hei;
Har saans mei humari woh basei hein,
Dhadkanei humari aur dil unka hei;

Shayari

Iss kadar hum unki mahobbat mein kho gaye,
Ki ek nazar dekha aur bas unhi ke ho gaye;
Aankh khuli to andhera tha dekha ek sapna tha,
Aankh bandh ki aur unhi sapno mein phir kho gaye;

Tu

Jab kalam liya haath mein…
Ghazal bann gaya tu,

Jab bhi nazar uthaayi…
Nazaara ban gaya tu!

Jab bhi kuch kehna chaha…
Ishaara bann gaya tu,

Doob rahi thi jab jazbaat ke samandar mein…
Saahil bann gaya tu!

Kehne ko tha bahut kuch
Parr kuch naa keh saki main,
Bina kuch kahe…
Bahut kuch keh gaya tu!

Haathon mein tha haath jab,
Doori thi dilon mein,
Aaj doorh hai hum mein magar,
Dil ke bahut kareeb aa gaya hai tu!

Jab bhi saans li maine
Hawa bann gaya tu,

Jab bhi dua mein haath uthaaye
Dua bann gaya tu,

Jab bhi chalak gayi aankhen,
Aansoon ban gaya tu,

Nahin jaan saki main…
Jaane kab meri dhadkan bann gaya tu!

~Akansha~

Woh kaagaz ki kashti woh baarish ka paani

Woh kaagaz ki kashti woh baarish ka paani
Jaise kahin koi adhuri kahaani
Yaad hai mujhko ab tak zubaani
Woh kahaani jo ho gayi puraani!

Woh kaagaz ki kashti woh baarish ka paani
Bachpann chod ubharti jawaani
Dono ke dilon mein pyaas anjaani
Tu mera deewana main teri deewani!

Woh kaagaz ki kashti woh baarish ka paani
Hawaaon mein woh muhobbat ki rawaani
Dilon ka zor se dhadkna woh mausam baimaani
Momh ke jaise pighalte armaan woh roomaani!

Woh kaagaz ki kashti woh baarish ka paani
Woh toofaan ka aana woh kehar aasmaani
Woh kashti doobi reh gaya paani
Jaise apni adhuri prem kahaani!

Arz Hai…

Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge..

Aitbaar Zara Soch Kar Karna…
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge,

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge….

hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai ::Akbar Allahabadi::

hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai
Daakaa to nahii.n Daalaa chorii to nahii.n kii hai

naa-tajurbaakaarii se vaa_iz kii ye baate.n hai.n
is rang ko kyaa jaane puuchho to kabhii pii hai

us mai se nahii.n matalab dil jis se hai begaanaa
maqasuud hai us mai se dil hii me.n jo khi.nchatii hai

vaa.N dil me.n ki sadame do yaa.N jii me.n ke sab sah lo
un kaa bhii ajab dil hai meraa bhii ajab jii hai

har zarraa chamakataa hai anavaar-e-ilaahii se
har saa.Ns ye kahatii hai ham hai.n to Khudaa bhii hai

suuraj me.n lage dhabbaa fitarat ke karishme hai.n
but ham ko kahe kaafir allaah kii marzii hai

dastuur ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho ::Dalip Tahir::

dastuur ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho
ik haath me.n maalaa ho ik haath me.n pyaalaa ho

puuje.nge saliiqe se andaaz magar apanaa
ho yaad-e-Khudaa dil me.n saaqii ne sambhaalaa
ho

mastii bhii taqaddus bhii ek saath chale dono.n
ik simt ho maiKhaanaa ik simt shivaalaa ho

masjid kii taraf se tuu jaanaa na kabhii saaqii
zaahid bhii kabhii teraa na chaahanevaalaa ho

vo Duub ke mar jaaye.n madiraa kii suraahii me.n
maashuuq ne gar dil kii mahafil se nikaalaa ho

aadatan tum ne kar diye vaade ::Gulzar::

aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa

terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa

ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

din kuchh aise guzaarataa hai ko_ii ::Gulzar::

jaise ehasaan utaarataa hai ko_ii

aa_iinaa dekh ke tasallii hu_ii
ham ko is ghar me.n jaanataa hai ko_ii

pak gayaa hai shazar pe phal shayaad
phir se patthar uchhalataa hai ko_ii

phir nazar me.n lahuu ke chhii.nTe hai.n
tum ko shaayad mughaalataa hai ko_ii

der se guu.Njate.n hai.n sannaaTe
jaise ham ko pukaarataa hai ko_ii

mai.n apane ghar me.n hii ajanabii ho gayaa huu.N aa kar ::Gulzar::

mai.n apane ghar me.n hii ajanabii ho gayaa huu.N aa kar
mujhe yahaa.N dekhakar merii ruuh Dar gaii hai
saham ke sab aarazuue.N kono.n me.n jaa chhupii hai.n
lave.n bujhaa dii hai.napane cheharo.n kii, hasarato.n ne
ki shauq pahachanataa hii nahii.n
muraade.n dahaliiz hii pe sar rakh ke mar gaii hai.n

mai.n kis vatan kii talaash me.n yuu.N chalaa thaa ghar se
ki apane ghar me.n bhii ajanabii ho gayaa huu.N aa kar

nazm ulajhii huii hai siine me.n ::Gulzar::

nazm ulajhii huii hai siine me.n
misare aTake hue hai.n hoTho.n par
u.Date-phirate hai.n titaliyo.n kii tarah
lafz kaaGaz pe baiThate hii nahii.n
kab se baiThaa huu.N mai.n jaanam
saade kaaGaz pe likhake naam teraa

bas teraa naam hii mukammal hai
isase bahatar bhii nazm kyaa hogii

saa.Ns lenaa bhii kaisii aadat hai ::Gulzar::

saa.Ns lenaa bhii kaisii aadat hai
jiiye jaanaa bhii kyaa ravaayat hai
koii aahaT nahii.n badan me.n kahii.n
koii saayaa nahii.n hai aa.Nkho.n me.n
paa.Nv behis hai.n, chalate jaate hai.n
ik safar hai jo bahataa rahataa hai
kitane baraso.n se, kitanii sadiyo.n se
jiye jaate hai.n, jiye jaate hai.n

aadate.n bhii ajiib hotii hai.n

vo kaaT ke puraze u.Daa rahaa thaa ::Gulzar::

vo kaaT ke puraze u.Daa rahaa thaa
havaao.n kaa ruup dikhaa rahaa thaa

kuchh aur bhii ho gayaa numaayaa.N
mai.n apanaa likhaa miTaa rahaa thaa

usii kaa imaan badal gayaa hai
kabhii jo meraa Khudaa rahaa thaa

vo ek din ek ajanabii ko
merii kahaanii sunaa rahaa thaa

vo umr kar rahaa thaa merii
mai.n saal apane ba.Dhaa rahaa thaa

ham raato.n ko uTh uTh ke jin ke liye rote hai.n ::Hasrat Jaipuri::

ham raato.n ko uTh uTh ke jin ke liye rote hai.n
vo Gair kii baaho.n me.n aaraam se sote hai.n

ham ashk judaa_ii ke girane hii nahii.n dete
bechain sii palao.n me.n motii se pirote hai.n

hotaa chalaa aayaa hai bedard zamaane me.n
sachchaa_ii kii raaho.n me.n kaa.NTe sabhii bote.n hai.n

a.ndaz-e-sitam un kaa dekhe to ko_ii “Hasrat”
milane ko to milate hai.n nashtar se chubhote hai.n

is tarah har Gam bhulaayaa kiijiye ::Hasrat Jaipuri::

is tarah har Gam bhulaayaa kiijiye
roz maiKhaane me.n aayaa kiijiye

chho.D bhii diijiye takalluf sheKh jii
jab bhii aaye.n pii ke jaayaa kiijiye

zi.ndagii bhar phir na uteregaa nashaa
in sharaabo.n me.n nahaayaa kiijiye

ai hasiino.n ye guzaarish hai merii
apane haatho.n se pilaayaa kiijiye

vo apane chehare me.n sau afataab rakhate hai.n ::Hasrat Jaipuri::

vo apane chehare me.n sau afataab rakhate hai.n
is liye to vo ruKh pe naqaab rakhate hai.n

vo paas baiThe to aatii hai dilab\rubaa Khushbuu
vo apane hoTho.n pe khilate gulaab rakhate hai.n

har ek varq me.n tum hii tum ho jaan-e-mahabuubii
ham apane dil kii kuchh aisii kitaab rakhate hai.n

jahaan-e-ishq me.n sohanii kahii.n dikhaaii de
ham apanii aa.Nkh me.n kitane chenaab rakhate hai.n

yaaro mujhe mu’aaf karo mai.n nashe me.n huu.N ::Hasrat Jaipuri::

yaaro mujhe mu’aaf karo mai.n nashe me.n huu.N
ab tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.N

jo kucch hi kah rahaa huu.N nasha bolata hai ye
is kaa na kucch Khayaal karo mai.n nashe me.n huu.N

us maikade kii raah me gir jauu.N na kahii.n
ab meraa haath thaam to lo mai.n nashe me.n huu.N

mujhako to apane ghar kaa pataa yaad hii nahii.n
tum mere aas paas raho mai.n nashe me.n huu.N

kaisii guzar rahii hai muhabbat me.n zi.ndagii
“Hasrat” kuchh apana haal kaho mai.n nashe me.n huu.N

koi ye kaise bataye ke vo tanhaa kyon hain ::Kaifi Azmi::

koi ye kaise bataye ke vo tanhaa kyon hain
vo jo apana tha vohi aur kisi ka kyon hain
yahi duniyaa hai to phir aisi ye duniyaa kyon hain
yahi hota hain to aakhir yahi hota kyon hain

ek zara haath baDhaa, de to pakaDale daaman
usake sine mein samaa jaaye hamaari dhaDakan
itani qurbat hain to phir faasalaa itana kyon hain

dil-e-barabaad se nikala nahin ab tak koi
ek luTe ghar pe diya karata hain dastak koi
aas jo TuuT gayi phir se bandhaata kyon hain

tum masarrrat kaa kaho yaa ise Gam ka rishta
kahate hain pyaar ka rishta hain janam ka rishta
hain janam ka jo ye rishta to badalata kyon hain

patthar ke Khudaa vahaaN bhi paaye ::Kaifi Azmi::

patthar ke Khudaa vahaaN bhi paaye
ham chaaNd se aaj lauT aaye

diivaarein to har taraf khaDii hain
kyaa ho gayaa meharabaaN saaye

jangal kii havaayeN aa rahi hain
kaaGaz kaa ye shehar uD na jaaye

lailaa ne nayaa janam liyaa hai
hai Qais koii jo dil lagaaye

hai aaj zamiin kaa gusal-e-sahat
jis dil mein ho jitanaa Khuun laaye

seharaa seharaa lahuu ke Kheme
phir pyaase lab-e-furaat aaye

mere dil mein tu hi tu hai dil ki davaa kya karuuN ::Kaifi Azmi::

mere dil mein tu hi tu hai dil ki davaa kya karuuN
dil bhi tu hai jaaN bhi tu hai tujhape fidaa kya karuuN

Khud ko khokar tujhako pa kar kya kya mila kya kahuuN
tera hoke jine mein kya kya aayaa mazaa kya kahuuN
kaise din hain kaisi raatein kaisi fizaa kya kahuuN
meri hoke tuune mujhako kya kya diya kya kahuuN
meri pahaluu mein jab tu hai phir main dua kya karuuN
dil bhi tu hai jaaN bhi tu hai tujhape fidaa kya karuuN

hai ye duniyaa dil ki duniya milake raheinge yahaaN
luuTeinge ham KhushiyaaN har pal dukh na saheinge yahaaN
armaanon ke chanchal dhaare aise baheinge yahaaN
ye to sapanon ki jannat hai sab hi kaheinge yahaaN
ye duniyaa mere dil mein basi hai dil se judaa kya karuuN
dil bhi tu hai jaaN bhi tu hai tujhape fidaa kya karuuN

kaun kahataa hai muhabbat kii zubaaN hoti hai ::Sahir Hoshiyarpuri::

kaun kahataa hai mohabbat ki zubaaN hoti hai
ye haqeeqat to nigaahoN se bayaaN hoti hai

vo na aaye to sataati hai Khalish si dil ko
vo jo aaye to Khalish aur javaaN hoti hai

ruuh ko shaad kare dil ko jo puranuur kare
har nazaare mein ye taanvir kahaaN hoti hai

zabt-e-sailaab-e-mohabbat ko kahaaN tak roke
dil mein jo baat ho aaNkhon se ayaaN hoti hai

zindagii ek sulagati si chitaa hai “Sahir”
sholaa bantii hai na ye bhuj ke dhuaaN hoti hai

ye husn tera ye ishq mera ::Sahir Ludhianvi::

ye husn tera ye ishq mera
rangeen to hai badnaam sahi
mujh par to kayee ilzaam lage
tujh par bhi koi ilzaam sahi

is raat ki nikhari rangat ko
kuchh aur nikhar jaane de zara
nazaron ko bahak jaane de zara
zulfon ko bikhar jaane de zara
kuchh der ki hi taskeen sahi
kuchh der kaa hi aaraam sahi

jazbaat ki kaliyaaN chunana hai
aur pyaar ka tohfa dena hai
logoN ki nigaahein kuchh bhi kahein
logoN se hamein kyaa lena hai
ye Khaas ta’alluq aapas ka
duniyaa ki nazar mein aam sahi

rusavaaii ke Dar se ghabara kar
ham tark-e-vafaa kab karate hain
jis dil ko basaa lein pahaluu mein
us dil ko judaa kab karate hain
jo hashr hua hai laakhon ka
apana bhi vahi anjaam sahi

ye husn tera ye ishq mera
rangeen to hai badnaam sahi
mujh par to kaee ilzaam lage
tujh par bhi koi ilzaam sahi

tumhaari mast nazar agar idhar nahin hoti ::Sahir Ludhianvi::

tumhaarii mast nazar agar idhar nahin hoti
nashe mein chuur fizaa is kadar nahin hoti

tumhin ko dekhane ki dil mein aarazuuen hain
tamhaare aage hi aur uuNchii nazar nahin hoti

Khafaa na honaa agar baD ke thaam luuN daaman
ye dil fareb Khataa jaan kar nahin hoti

tumhaare aane talak ham ko hosh rahataa hai
phir usake baad hamein kuchh Khabar nahin hoti

Mazaahiya Shaayari ::Popular Meeruthi::

mahabuub vaadaa kar ke bhi aayaa na doston
kyaa kyaa kiyaa na ham ne yahaaN us ke pyaar mein
murGe churaa ke laaye the jo chaar
“do aarazuu mein kaT gaye, do intazaar mein”

Mazaahiya Shaayari ::Girgit Ahmedabadi::

jis din huaa paThaan ke murge ka intaqaal
daavat ki maulavi ki tab aaya use Khayaal
murdaar murG ki hui mullaah ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib huaa jalaal
kahane lage khilaaoge mam gosht?
tum ko nahin zaraa bhi shariyat ka kuchh Khayaal
murdaar Gosht to shariyat mein hai haraam
jab tak na zibaah kijiye, hota nahin halaal
fatawa jab apana maulavi saahab suna chuke
jhunjhalaa ke Khan ne kiyaa tab un se ye sawaal
kaisi hai aap ki ye shariyat bataaiye
bande ko kar diya hai Khuda se bhi baa-kamaal
allaah jis ko maar de, ho jaaye vo haraam
bande ke haath jo mare, ho jaaye vo halaal

Sunday, September 17, 2006

Ishq ke lamhe sharaab lagte hain

Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain

Sunday, September 10, 2006

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To MitTe nahi

Thursday, August 10, 2006

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Kal Mila Waqt To Zulfein Teri Suljha Doonga

Kal Mila Waqt To Zulfein Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Friday, August 04, 2006

kisi ko mohabbat ki sachaai maar dalegi

kisi ko mohabbat ki sachaai maar dalegi
kisi ko mohabbat ki gehraai maar dalegi
kar ke mohabbat koi nahi bachegaa
jo bach gayaa use tanhaaii maar dalegi

Chaaho to dil se hume mitaa denaa

Chaaho to dil se hume mitaa denaa
Chaaho to humko bhulaa denaa
Par yeh waadaa karo ki aaye jo kabhi yaad humaari
Ronaa mat sirf muskuraa denaa

Reh jaoonga main to tanha mehfil mein

Reh jaoonga main to tanha mehfil mein
naa hoga koi saathi mera saahil pe
Naa koi tamanna is toote dil ki
mar gayi hai hasratein sab is dil ki...

Thursday, August 03, 2006

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Majbooriyon ki haalat, idhar bhi hai, udhar bhi

Majbooriyon ki haalat, idhar bhi hai, udhar bhi,
Tanhaye ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi,
Kahne ko bohot kuch hai magar kis se kahe hum
Kab tak yoon hi khamosh rahain aur sahe hum
Dil kahta hai duniya ki har ek rasam uthaa dain
Diwar jo hum dono main hai aaj giraa dain
Kya dil main sulagte rahain, logon ko bata dain,
Haan hum ko Mohabbat hai - Mohabbat hai - Mohabbat
Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi......
Sab ko bata dain.........

Monday, July 31, 2006

fir aake chale jaana ik baar chale aao

fir aake chale jaana, ik baar chale aao
surat to dikha jaao, ik baar chale aao

tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao

jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana
kis baat pe roothe ho itna to bata jaao

kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
ab jaan pe ban aayi lillah chale aao

Thursday, July 27, 2006

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN

tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho
jalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

bhoole se mushkuraaO to moti baras paDe
palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe
khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

Wednesday, July 19, 2006

ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab

ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab
kya karoon taarif, teri har adaa hai laajawab

kyoon na ye dil tumko chaahe, husn se bhi tum ho haseen
paaOn padte hain jahan pe, phool khil jaate hain wahin
jaan le lega hamaari ik na ik din ye sabaab
ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab

ruk gaye saawan ke baadal, zulf jab chehre pe paDi ho
dekh le jo unko shaayad, bhool jaaye wo shaayari
sang-e-marmar ka badan hai, ya kisi shaayar ka khwaab

Wednesday, July 12, 2006

muJhe tum nazar se gira to rahe ho

muJhe tum nazar se gira to rahe ho
muJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
mere pyaar ko tum mitaa na sakoge

meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
tadapta muJhe har taraf paaoge tum
shama jo jalaayi hai meri wafa ne
bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge

kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera
to bechain ho hoke dil thaam loge
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigahon mein chaayega gham ka andhera
kisi ne jo poocha sabab-a-subooN ka
bataana bhi chaaho bata na sakoge

Thursday, July 06, 2006

ab ke hum bichDe to shaayad kabhi khwaaboN meiN mile

ab ke hum bichDe to shaayad kabhi khwaaboN meiN mile
jis tarah sookhe huye phool kitaaboN meiN mile

dhoonD uJde huye logon meiN wafa ke moti
ye khazane tuJhe mumkin hai kharaboN meiN mile

tu khuda hai na mera ishq faristoN jaisa
dono insaaN haiN to inum itne hijaaboN mein mile

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar meiN shaamil kar lo
nasha behta hai sharaaboN meiN to sharaboN meiN mile

ab laboN meiN hooN na tu hai na wo maaji hai faraaq
jaise do saaye tamaana ke saraabOn meiN mile

Tuesday, July 04, 2006

rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye

rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye
pehle jaaN fir jaane jaaN fir jaane jaana ho gaye

din badin badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN
phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye

aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye
pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye

pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye
aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye

Husn Ko Chaand

husn ko chaaNd, jawani ko kaNval kehte haiN
unkee soorat nazar aaye to GHazal kehte haiN

uff! woh marmar se taraasha hua shafaaf badan
dekhne wale use taaj mahal kehte haiN

paD gayee paaoN meiN taqdeer kee zanjeer to kya
ham to usko bhee teri zulf ka baal kehte haiN

mujhko maaloom nahee iske siva kuch bhee katee
jo sadee vasl meiN guzre use pal kehte haiN