Tuesday, January 20, 2015

Aazmate hai log Sabr mera

आजमाते है लोग सब्र मेरा

बार बार कर के ज़िक्र तेरा

Aazmate hai log Sabr mera

Baar Baar kar ke Zikr tera

Mohabbat karne ka itna dawa na karo

मोहब्बत करने का इतना दावा ना करो
ऐ दोस्त
किसी ने मुझे भी छोड़ा है कसमे खाने के बाद

Mohabbat karne ka itna dawa na karo
E-dost
Kisi ne mujhe bhi chhoda hai kasmein khane ke baad

Monday, January 19, 2015

Patang si hai zindagi, kahan tak jayegi

पतंग सी हैं जिंदगी, कहाँ तक जाएगी,

रात हो या उम्र, एक ना एक दिन कट ही जाएगी..

Patang si hai zindagi, kahan tak jayegi,

Raat ho ya Umr, ek na ek din kat hi jayegi..

Abhi tak hum itne bhi mamooli nahin hue

अभी तक हम इतने भी मामूली नहीं हुए,
कि किसी के दिल में बसना चाहे और वो इनकार कर दे|

Abhi tak hum itne bhi mamooli nahin hue,
Ki kisi ke dil mein basna chahein aur woh inkaar kar de.

sab kuch le lijiye mohobbat ki waqalat karne walon

सबकुछ ले लीजिये मोहब्बत की वकालत करने वालों।
बस हमें उनकी यादों की कैद से रिहाई दिला दीजिये ॥

sab kuch le lijiye mohobbat ki waqalat karne walon
Bas humein unki yadon ki kaid se rihayi dila dijiye

Mera kafan uski dukaan ka lana

मेरा कफन उसी दुकान का लाना,
जिससे वो अपना दुपट्टा खरीदती है..

Mera kafan uski dukaan ka lana,
Jis se woh apna dupatta khareed-ti hai

Nawabi to hamare khoon mein hai

नवाबी तो हमारे खुन मे है....पर पता नही
ये दिल कैसे तेरी गुलामी करना सीख गया..

Nawabi to hamare khoon mein hai.. par pata nahin
Ye dil kaise teri gulaami karna seekh gaya..

Barsoon pehle alvida keh gayi thi jo

बरसों पहले अलविदा कह गयी थी जो कल फिर मिली बाजार में,
उसकी गाड़ी बड़ी थी और मेरी दाढ़ी |

Barsoon pehle alvida keh gayi thi jo kal phir mili bazaar mein,
Uski gaadi badi thi aur meri dadhi.

Raaj to hamara har jagaj pe hai

राज तो हमारा हर जगह पे है,
पसंद करने वालों के “दिल” में; और
नापसंद करने वालों के “दिमाग” में।

Raaj to hamara har jagaj pe hai,
Pasand karne walon ke "Dil" mein; aur
Na-pasand karne walon ke "Dimaag" mein.

Unhi raaston ne, jin par kabhi tum the saath mere

उन्ही रास्तो ने, जिन पर कभी तुम थे साथ मेरे,
मुझे रोक रोक पूछा, तेरा हमसफ़र कहा है !!

Unhi raaston ne, jin par kabhi tum the saath mere,
mujhe rok-rok poocha, tera humsafar kahan hai.

Patang si hai zindagi, kahan tak jayegi

पतंग सी हैं जिंदगी, कहाँ तक जाएगी!
रात हो या उम्र, एक ना एक दिन कट ही जाएगी!!

Patang si hai zindagi, kahan tak jayegi!
Raat ho ya Umr, ek na ek din kat hi jayegi!!

Tum agar laut aao to mujhe zara pehle bata dena

तुम अगर लौट आओ तो मुझे ज़रा पहले बता देना.....
मुझे खुद को ढूंढने में कुछ वक़्त लगेगा.....

Tum agar laut aao to mujhe zara pehle bata dena.....
Mujhe khud ko dhoondne mein kuch waqt lagega.....

lagta hai apni uljhane phir se badhne wali hai yaroon

''लगता है अपनी उलझाने फिर से बड़ने वाली है यारों...!!''
''आज फिर से हमें किसी की सादगी अच्छी लगी है..!!''

lagta hai apni uljhane phir se badhne wali hai yaroon!!
Aaj phir se humein kisi ki saadgi achhi lagi hai

Aansu nikal pade khwaab mein usko door jate dekhkar

आंसू निकल पड़े खवाब में उसको दूर जाते देखकर,
आँख खुली तो एहसास हुआ इश्क सोते हुए भी रुलाता है..!!

Aansu nikal pade khwaab mein usko door jate dekhkar,
Aankh khuli to ehsaas hua ishq sote hue bhi rulata hai

Wednesday, January 14, 2015

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Aadat ho gayi hai tere kareeb rehne ki

Aadat ho gayi hai tere kareeb rehne ki

Bataa.. Teri sanso ki khushboo wala ittar kahan milega..

Roz kahan se laau ek naya dil

Roz kahan se laau ek naya dil

Todne walaon ne to mazaak bana rakha hai

Sasta sa bata do ilaaz koi ishq ka

Sasta sa bata do ilaaz koi ishq ka

Ek gareeb pyar kar baitha hai!

Muskurahat ke kuch lamhe kisi udaas chehre par saja do

Muskurahat ke kuch lamhe kisi udaas chehre par saja do,
Thodi si khushi apni kisi rote hue ko baant do,
Jeene ka haq is jahan mein sabko naseeb ho, warna
.
.
Hum hi hum hain to kya hum hain, Tum hi tum ho to kya tum ho!

Koshish Karne walo ki kabhi haar nahi hoti

A FAMOUS POETRY BY HARIVANSH RAI BACHCHAN


Koshish Karne walo ki kabhi haar nahi hoti
Lahro se dar kar noka par nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti

Nanhi chiti jab dana lekar chalti hai
Chadti divaro se so bar fisalti hai
Man ka visvas rago me sahas bhar deta hai
Gir kar chadhna chadkar girna isiliye na akhrta hai
Mehnat uski khali har bar nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti

Dubkiyan sindhu me gotakhor lagate hain
Jakar khali hath lot aate hain
Milte na sahaj moti gahre pani me
badhta duguna utsah isi herani me
muthi uski khale har bar nahi hoti
Mehnat karne walo ki kabhi har nahi hoti

Asafalta ek chunoti hai ise swikar karo
kya kami rah gai hai dekho or sudhar karo
jab tak na safal ho nind chain ki tyago tum
sangharso ka maidan chod mat bhago tum
kutch kiye bina hi jay jaykar nahi hoti
mehnat karne walo ke kabhi har nahi hoti.

Kuch Log Jo Zyada Jante Hai

Kuch Log Jo Zyada Jante Hai, Insaan Ko Kam Pehchante Hai
Ye Purab Hai, Purabvaale, Har Jaan Ki Kimat Jante Hai

Mil Jul Ke Raho Aur Pyar Karo, Ek Cheez Yahi Jo Rehati Hai
Hum Us Desh Ke Vasi Hai, Jis Desh Me Ganga Behati Hai

Kabra ki mitti bhi ud kar teri gali ki taraf jati hai

Kabra ki mitti bhi ud kar teri gali ki taraf jati hai

Jism ko maut aayi, par khwayishein abhi bhi jinda hai