Tuesday, December 16, 2014

Main Jaanta hoon ki baadshah ban ne jaisi mujh mein koi baat nahin

Main Jaanta hoon ki baadshah ban ne jaisi mujh mein koi baat nahin

Magar jise bhi aankh bhar kar dekh lete hain use uljhan mein daal dete hain

Aukaat kya hai teri, E-zindagi

Aukaat kya hai teri, E-zindagi

Char din ki Mohabbat tujhe tabaah kar deti hai

Friday, December 12, 2014

Agar parchhayian kadH se aur baatein aukaat se badi hone lage

Agar parchhayian kadH se aur baatein aukaat se badi hone lage,

To samajh lo ki suraj doobne wala hai.

Kuch logon ka dil jeet liya aakar iss barsaat ne

Kuch logon ka dil jeet liya aakar iss barsaat ne,

Aur kuch iss soch mein doobe hain ki aaj woh soyenge kahan!

Teri talaash mein nikloon bhi to kya fayada?

Teri talaash mein nikloon bhi to kya fayada?

Tum badal gaye ho.. kho gaye hote to aur baat thi!

Badi ajeeb si hai shehron ki roshni

Badi ajeeb si hai shehron ki roshni,

Ujaalon ke baawjood "chehre" pehchaan-na mushkil hai

Teri pehchaan bhi kho na jaye kahin

Teri pehchaan bhi kho na jaye kahin,

Itne chehre na badal thodi si shohrat ke liye..

Woh! dushman ban kar mujhe jeetne nikali thi

Woh! dushman ban kar mujhe jeetne nikali thi,

Dost ban ke milti to main yoon hi har jata..

Sharaab kaisi, khumaar kaisa

Sharaab kaisi, khumaar kaisa,
Ye sab tumhari, Navaazishen hey,
Pilaayi hay, Kis nazar se tunne,
Ke mujhko apni, Khabar nahi hai..!

Tere pyaar ne, Teri chah ne,
Teri ...Bahki bahki nigaah ne,
Mujhe.... Ek sharabi bana diya,
Ke sharaab peena, Sikha diyaa..

Rehne de mujhe in andheron mein

Rehne de mujhe in andheron mein,

Kambhakt, roshni mein apno ke asli chehre samne aa jate hai!

Naa jane kya masumiyat hai tere chehre par

Naa jane kya masumiyat hai tere chehre par,

Tere samne aane se zyada tujhe chupkar dekhna achha lagta hai!

Agar de tu humko apne husn ki tareef ka ek mauka

Agar de tu humko apne husn ki tareef ka ek mauka, kasam se..

Poori mehfil ko tera deewana na kar doon to lanat hai meri shayari par!

Shauhrat to janaaze ke din pata chalegi

Shauhrat to janaaze ke din pata chalegi,

Daulat to koi bhi kama leta hai!

Dikhawa mat kar shehar me "Shareef" hone ka

Dikhawa mat kar shehar me "Shareef" hone ka,

Log "Khamosh" to hai, par na-samajh nahin!!

Gulaam hoon apne ghar ke sanskaraon ka.. warna

Gulaam hoon apne ghar ke sanskaraon ka.. warna,

Logon ko unki aukaat dikhane ka hunar aaj bhi rakhta hoon!

Har koi poocHta hai, karte kya ho tum?

Har koi poocHta hai, karte kya ho tum?

Jaise Mohabbat koi kaam hi nahin.

Hum Khuda ke to kabhi kayal na the

Hum Khuda ke to kabhi kayal na the,

Tumko dekha to Khuda yaad aaya.!!!!

Jaam jab peeta hoon muh se kehta hoon Bismillah

Jaam jab peeta hoon muh se kehta hoon Bismillah,

Kaun kehta hai ke rindon ko khuda yaad nahin ???

Ab usay roz na sochu toh badan toot-ta hai

Ab usay roz na sochu toh badan toot-ta hai,

Ek umar ho gai hai uski yaad ka nasha karte karte.!!!

Maut Par Bhi Hai Yaqeen

Maut Par Bhi Hai Yaqeen, Unn Par Bhi Aitbaar Hai,

Daikhtey Hain Pehley Kon Aata Hai, Dono Ka Intezar Hai.!!!

Mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabi

Mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabi,

Jis phool ko dekhun wohi paimaanaa huaa hai..!!!

Masroofiyat Mein Aati Hai Behad Tumhari Yaad

Masroofiyat Mein Aati Hai Behad Tumhari Yaad,

Fursat Mein Teri Yaad Se Fursat Nahi Milti...!!!