Monday, June 26, 2006

zindagi meiN to sabhi pyaar kiya karte haiN ::Unknown::

zindagi meiN to sabhi pyaar kiya karte haiN
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

tu mila hai to ehsaas hua hai muJhko
ye meri umR mohabbat ke liye thoDi hai
ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saaNs bhi tere liye rakh choDi hai
tuJhpe ho jaaoonga qurbaan tuJhe chaoonga
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

apne jazbaat meiN nagmaat rachaane ke liye
maine dhaDkan ki tarah dil meiN basaya hai tuJhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karooN
maine kimsat ki lakiroN se churaaya hai tuJhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tuJhe chahoonga
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga

nA uDaa yuun Thokaron se ::Unknown::

na uDaa yuun Thokaron se
meri khaak-e-kabr zaalim
yahi ek rah gai hai
meri pyaar ki nishaani

faasale aise bhi honge
ye kabhi sochaa na tha
saamane baiThaa tha mere
aur woh meraa na tha

woh ke khushabuu ki tarah
failaa tha mere chaarasuu
main use mahasuus kar sakataa tha
chhuu sakataa na tha

raat bhar pichhali hi aahat
kaan mein aati rahi
jhaank kar dekhaa gali mein
koi bhi aaya na tha

yaad karake aur bhi
takalif hoti thi adiim
bhuul jaane ke sivaa
ab koi bhi chaaraa na tha

Tuesday, June 20, 2006

Tanhai

Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Rona Chahoon To, Rona Chahoon To
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai

Jo Aise Chod Ke Mehboob Jaaye
To Jeene Se Na Kyoon Dil Oobh Jaaye
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai...

Paya Humne Ye Bin Tere
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke Andhere
Ranj Ki Raahein Aur Gam Ke Andhere
Woh Bhi To Humse, Woh Bhi To Humse
Kho Gayee Hai, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai...

Yaad Aate Hain, Beetey Zamaane
Jab Tum Aaye The Humko Manaane
Jab Tum Aaye The Humko Manaane
Abh To Dil Roothey, Abh To Dil Roothey
Dard Manaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai

Rona Chahoon To, Rona Chahoon To
Aansoon Na Aayein, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai...

tere bheege badan ki khooshboo se

tere bheege badan ki khooshboo se
lehre bhi huyee mastaani si
teri zulf ko chookar aaj huyee
khaamosh hawa diwaani si

ye roop ka kundan dehka hua
ye zism ka chandan mehka hua
ilzaam na dena fir muJhko
ho jaaye agar naadani si

bikhra hua kaajal aankhoN meiN
toofaan ki halchal saansoN meiN
ye narM laboN ki khamoshi
palko meiN chupi hairaani si

Monday, June 19, 2006

chamakate chaaNd ko TuuTaa huaa taaraa banaa Daalaa

chamakate chaaNd ko TuuTaa huaa taaraa banaa Daalaa
merii aawaragi ne mujhako, awaara banaa Daalaa

yahi aaGaaz thaa meraa, yahi anjaam honaa tha
mujhe barabaad hona tha, mujhe naakaam hona tha
meri taqadir ne mujhako, taqadir ka mara bana Dala
chamakate chaaNd ko ...

baDaa dilkash baDaa raNgiin hai yah shahar kahate hain
yahaaN par hain hazaaron ghar gharon mein log rahate hain
mujhe is shahar ki galiyon kaa banjaaraa banaa Daalaa
chamakate chaaNd ko ...

Wednesday, June 14, 2006

Muddaton Baad

muddatoN baad vo soorat jo dikhaaee dee hai
dil kee dhaDkan mujhe aaNkhoN se sunaaee dee hai

shaam se jaag rahee haiN vo nidaasee aaNkheN
Doobte chaaNd ne khiDkee se baDHaaee dee hai

us janam meiN bhee mulaaqaat kee ummeed naheeN
is janam ne to janam bhar kee judaaee dee hai

hamne pehle bhee ye KHwaaboN ka safar dekha hai
dhoop itnee thee ke sehra ne duhaaee dee hai

Friday, June 09, 2006

Kab Tak Yoon Heen

kab tak yuNhee rulaayeNgee tanhaaiyaaN hameiN
na milegee kya kabhee teree parchaaiyaaN hameiN

shaayad wafa ke phool khileNge bahaar meiN
sadiyaaN guzar gayee haiN isee intezaar meiN
taDapa rahee hai dard kee shehanaaiyaaN hameiN

ham kho gaye to phir na mileNge kabhee tujhe
dar-dar phiraayegee teree deevaangee tujhe
DHooNDeNgee teree rooH kee geheraaiyaaN hameiN

Monday, June 05, 2006

Kuch Door Hamaare Saath Chalo

Kuch door hamaare saath chalo
Ham dil kee kahaanee keh deNge
Samjhe na jise tum aaNkhoN se
Vo baat zabaanee keh deNge

PhooloN ki tarah jab hoToN pe
Ik shoKH tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanoN meiN
Ik baat puraanee keh deNge

Izhaar-e-vafa tum kya jaano
Ikraar-e-vafa tum kya jaano
Ham zikr karenge GHairoN ka
Aur apnee kahaanee keh deNge

Mausam to baDa hee zaalim hai
Toofaan uTHaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh deNge

Shaadi ke liay doston, ladkiyan hazaaron hain

Shaadi ke liay doston, ladkiyan hazaaron hain
Har khidki mein hai ladki, aur khidkiyan hazaron hain

Koi to milegi ladki khaandan mein humein
Phuppiyan hain beshumar, chachiyaan hazaaron hain

Likha jo tumne Love Letter to kya hua janab
Humari daraaz mein is jaisi, chithiyaan hazaaron hain

Ek tumhin nahin akeli, mere jaal mein phansney wali
Is jaal mein tum jaisi, machliyaan hazaaron hain

Diay thay pehle bhi Ishq ke imtehaan bohaut
Hathon mein is baar bhi, parchiyaan hazaron hain

Wo Parwaney nahin jo Shama pe mar jaayeinge
Hamare ghar mein pehle hi, battiyaan hazaron hain

Ek aur gayi haath se to kya ghazab hua
Jaante hain is baagh mein titliyaan hazaaron hain