Friday, May 26, 2006

Dil Tumhara Hai

tumhen malum hai humne ye kis ko pukara hai
ye sab jaante hain ke dil ka kis taraf ishara hai

na koi aahat hai na koi intizaar ka hi sahara hai
faqat apne dil per nazar hai ghum per guzara hai

khudi se farar ho haasil tou duniya se kinara hai
khudaya her dam zindgi israr her dam ashkara hai

mohabbat her dil se ho jaaye tou ye jazba pyaara hai
ye vo darya hai jisme saahil per dubna bhi gawara hai

chaand ghum na kar kya hua gar na koi tumhara hai
her qadam per jo jalta diya hai yaaro vo dil humara hai

Yaadein

Zindgi mein to tumhari aa na sake, ab khwaabon mein chale aate hain
Tum laakh nazrein pher lo sanam, hum phir bhi chale aate hain

Kahne ko to tum bhul chuki thi, phir bhi anjaane mein pukarti ho
Tum kabhi bhuli nahin thi, sirf jaankar anjaane mein pukarti ho

Mann to mann hai, mann ko kya kahena
Hum aayenge sapno mein, sapno ko kya kahena

Azeez bewafa nahin, tum paas aao ya na aao,
Wo mar ke bhi mara nahin, uski yaadon ko gale se lagao......!!

Aasuon Ko Bahot Samjhaya

Aasuon Ko Bahot Samjhaya,
Ke Tanhaiyon Main Aaya Karo,
Mehfil Main Humara Mazak Mat Udaya Karo,
Is Per Aansoo Tadap Ker Bole,
Itne Logo Main Bhi Aapko Tanha Paate Hai,
Isiliye Tumhara Saath Dene Chale Aate Hai....!!!!

Udaas Dil

aaj fir dil hai kuchh udaas udaas
jaane kyun ek mayusi si chhayi hai
aaj fir palkon pe pani hai
bheer mein hoon fir kyun ye tanhai hai

Tanhai

Hum teri dhun main jia kartay thay
Man me hi chup chaap phira kartay thay
Aankhon main pyaas hua karti thi
Dil main tufan utha kartay thay

Log aatay thay ghazal sunnay ko
Ham teri baat sunaya kartay thay

Sach Samajhte thay teri muhobbat ko
Dil main kya phool khila kartay thay

Ghar ki dewaar sajaanay ki khaatir
Ham tera naam likha kartay thay

Wo bhi kia din thay, tujhay bhula kar
Ham tujhay yaad kia karta thay

Kal tujhay daik kar yaad aaya
Ham bhi kabhi Muhabbat kia kartay thay

Monday, May 01, 2006

Raaz-e-Ulfat chupa ke dekh liya :: Faiz Ahmed Faiz ::

Raaz-e-Ulfat chupa ke dekh liya
Dil bahut kuch jalaa ke dekh liya

Woh mere ho ke bhi mere na huai
Un ko apna bana ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaki hai
Aap se dil laga ke dekh liya

Faiz, takmeel-e-gam bhi ho na sake
Ishk ko Aazma ke dekh liya

Ek Sher

AADMI KE KHWAISHON KI KOI INTEHAA NAHI

DO GAZ ZAMEE(N) BHI CHAHIYE, DO GAZ KAFAN KE BAAD.

Kuch Sher

KOI HUM-NAFS NAHI HAI KOI RAZDAA(N) NAHI HAI
FAQT EK DIL THA APNA SO WOH MEHERBAA(N) NAHI HAI.

MARNE KA TERE GAM MEIN IRAADA BHI NAHI HAI
HAI ISHQ MAGAR ITNA ZIYAADA BHI NAHI HAI.

INHI PATHAROO PAR CHAL KAR AGAR AA SAKOO TO AAOO
MERE GHAR KE RAASTE MEIN KAHI KEHKASHAA(N) NAHI HAI.

KYO DEKHTE REHTE HAI SITAAROO KI TARAF HUM
JAB UN SE MULAKAAT KA WADA BHI NAHI HAI.

TABIYAAT IN DINO BEGAANA-E-GAM HOTI JAATI HAI. :: Jigar Muradabaadi ::

TABIYAAT IN DINO BEGAANA-E-GAM HOTI JAATI HAI.
MERE HISSE KI GOYA HAR KHUSHI KAM HOTI JAATI HAI.


WAHI HAI SHAAHID-O-SAAQI, MAGAR DIL BUJHTA JATA HAI.
WAHI HAI SHAMMA LEKIN ROSHNI KAM HOTI JAATI HAI.

QAYAMAT KYA YEH AY HUSN-E-DO.AALAM HOTI JAATI HAI.
KE MEHFIL TO WAHI HAI, DIL-KASHI KAM HOTI JAATI HAI.

WAHI MAIKHAANA-O-SEHBA, WAHI SAAGAR, WAHI SHEESHA
MAGAR AAWAZ-E-NOSHA.NOSH MADDHAM HOTI JAATI HAI.

WAHI HAI ZINDAGI LEKIN JIGAR YEH HAAL HAI APNA
KE JAISE ZINDAGI SE ZINDAGI KAM HOTI JAATI HAI.

KOI UMEED BAR NAHI AATI :: Galib ::

KOI UMEED BAR NAHI AATI
KOI SURAT NAZAR NAHI AATI

MAUT KA EK DIN MOIYAN HAI
NEEND KYO RAAT BHAR NAHI AATI

AAGE AATI THI HAAL-E-DIL PAR HA(N)SI
AB KISI BAAT PAR NAHI AATI

HAI KUCH AISI HI BAAT KE CHUP HOON
WARNA KYA BAAT KAR NAHI AATI

HUN WAHA JAHA SE HUM KO BHI
KUCH HAMARI KHABAR NAHI AATI

MARTE HAI AARZOO MEIN MARNE KI
MAUT AATI HAI PAR NAHI AATI

KABE KIS MUH SE JAAOGE GHALIB
SHARM TUM KO MAGAR NAHI AATI

PHIR SE KUCH EK DIL KO BEKARARI HAI :: Galib ::

PHIR SE KUCH EK DIL KO BEKARARI HAI
SEENA JOYA-E-ZAKHAM KAARI HAI

PHIR USI BEWAFAA PE MARTE HAI
PHIR WAHI ZINDAGI HAMARI HAI

BEKHUDI BE SABAB NAHI GHALIB
KUCH TO HAI JIS KI PARDA-DAARI HAI

Kuch Sher

1.
LE DEKE APNE PAAS FAQAT EK NAZAR TO HAI
KYO DEKHE ZINDAGI KO KISI KI NAZAR SE HUM

2.
RONE SE AUR ISKH MEIN BEBAK HO GAYE
DHOYE GAYE HUM ITNE KE BAS PAAK HO GAYE

3.
KARNE GAYE THE UN SE TAGAFUL KA HUM GILA
KI EK HI NIGAAH KE BAS KHAAK HO GAYE

4.
RAAT KO PI, SUBHA KO TAUBA KARLI
RIND KE RIND RAHE, HAATH SE JANNAT BHI NAGAYI

5.
GAR PHIRDOS BEROOH-E-ZAMEEN AST
HAMI AST, HAMI AST HAMI AST

PARINDE KI FARYAAD

Aata hai yaad mujhko guzraa huwa zamaana
Woh baag ki bahaare woh sab ka chechahana

Azaadiyaa kaha woh ab apne ghosle ki
Apni khushi se aana, Apni khusi se jaana

Lagti hai chot dil par, Aata hai yaad jis dam
Shabnam ke Aasuoon par Kaliyoo ka muskuraana

Woh pyaari pyaari surat, woh kaamini si murat
Aabad jis ke dam se tha mera Aashiyaana

Aati nahi Sadaayee us ki mere kafas mein
Hoti meri rihaahi ay kaash mere bas mein

kya bad-naseeb hoo mein Ghar ko taras raha hoon
Saathi to hai watan mein, mein kaid mein pada hoon

Aayi bahaar, kaliya phoolo ki has rahi hai
mein is andhere ghar mein kismat ko ro raha hoon

Is kaid ka Ilaahi, dukhda kise sunaoo
dar hai yahee kafas mein, mein gam se mar na jaooo

Jab se chaman choota hai yeh haal ho gaya hai
Dil gam ko kha raha hai, Gam dil ko kha raha hai

Gaana ise samajh kar khush ho na sun-newale
Dukhe huwee diloo ki faryaad, yeh sada hai

Azaad mujh ko kar de O kaid karne wale
Mein bezoobaa hoon kaidi, mujhe chod kar dua le !

Apne Maazi ke tasaavoor se hiraasa hoon mein :: Faraar ::

Apne Maazi ke tasaavoor se hiraasa hoon mein (hiraasa : pareshaan)

Apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujhe

Apni bekaar tamanaaoo pe sharminda hoon

Apni be-sood umeedoo pe nidaamat hai mujhe (be-sood : useless)



Mere maazi ko andhere mein daba rehne do

Mera maazi meri zilat ke siwa kuch bhi nahi

Meri umeedoo ka hasil meri kaavish ka sila (kaavish : research)

Ek benaam aziyat ke siwa kuch bhi nahi (aziyat : torment)



Kitni bekaar umeedoo ka sahara le kar

Mein-ne aiwaan sajaa-ye the kisi ke khaatir (aiwaan : palace)

Kitni be-rabt tamanaoo ke mabham khaake (be-rabt : unfulfilled)

Apne khwaaboo mein basaa-ye the kisi ke khaatir (mabham : hidden)

(khaake : sketches)

Mujh se ab meri mohabbat ke fasaane na kaho

Mujh ko kehne do ke mein-ne Unhe chaaha hi nahi

Aur woh mast nigaahe jo mujhe bhool gayi

Mein-ne Un mast nigaahoo ko saraaha hi nahi (saraaha : approve)



Mujh ko kehne do ke mein aaj bhi jee sakta hoon

Ishk nakaam sahi, zindagi nakaam nahi

Un ko apna-ne ki khawaaish, Unhe paane ki talb

Shauk bekaar sahi, sa'i-gam anjaam nahi (sai-gam : to be sad)



Wahi ghesoo wahi nazar wahi aaridh wahi jism (aaridh : cheeks)

Mein jo chahoo ke mujhe aur bhi mil sakte hai

Woh kawal jin ko kabhi un ke liye khilna tha (kawal : lotus)

Un ki nazrooo se bahut door bhi khil sakte hai